Monday, March 27, 2006

"unko bhi hum se waisi hi mohabbat ho zaroori toh nahi
ek si dono ke halath ho zaroori toh nahi

dil ki chahat to kai khwaab jaga deti hai
haan magar saath mein kismat bhi ho zaroori toh nahi

meri tanhaiyan karti hain jinhe yaad sada
unko bhi meri zaroorat ho zaroori toh nahi

muskarane se bhi hota bayan qham-e-dil
mujh ko rone ki bhi aadat ho zaroori toh nahi.
"

8 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Hans ke gham ko seh le gham ko mukaddar na bana,
dil ko to har haal mein dil rehne de, patthar na bana.

11:48 AM, March 27, 2006  
Anonymous Anonymous said...

Waqt ke iss mod pe, yeh kaisa waqt aaya hai

Zakham iss dil ka aaj zubaan pe aaya hai

Nahi rote the hum, kaaton ki chuban se

Aaj phoolon ki chuban ne humko rulaaya hai...

3:47 AM, March 28, 2006  
Anonymous Anonymous said...

jis shaks ke liye tu aah bharta hai
jis shaks se mohabbat karta hai
woh teri is chahat ka haqdaar na tha
ek bhool samajh ke bhool ja use, jo shayad kabhi pyaar na tha

3:59 AM, March 28, 2006  
Blogger Bandy said...

dont have enough hindi writing powers to be able to respond in hindi... but its beautiful... really... also there is something about hindi urdu verse that just sounds so musical, that it moves you.

1:30 AM, March 29, 2006  
Blogger Manasi said...

I just loved the last line!
You write so well!
great!!
:)

2:33 AM, April 18, 2006  
Anonymous Anonymous said...

beautiful...more than that....it has d power to touch you deep inside and feel a corner in your heart that ached...but is nw burried silently under the mud of time...after i read dis i removed d mud for a while nd looked if it was still there...

7:26 AM, November 28, 2007  
Anonymous Anonymous said...

2 years since this post...

is the pain still the same?

2:18 PM, March 27, 2008  
Blogger The Doors Of Perception said...

@anon:
this too has passed.

3:34 AM, March 30, 2008  

Post a Comment

<< Home