Wednesday, September 26, 2007

meharbaani karke bulalo mujhe, main guzra wakt nahi, jo lautkar aa bhi naa sakoon

Monday, September 10, 2007

Sabse Khatarnak


Mehnat ki loot sabse khatarnak nahi hoti,
Police ki maar sabse khatarnak nahi hoti,
Gaddari, lobh ki mutthi sabse khatarnak nahi hoti.
Baithe bithaye pakde jana bura to hai,
Sahmi si chhup me jakde jana bura to hai,
Par sabse khatarnak nahi hoti.
Sabse khatarnak hota hai murda shanti se bhar jana,
Na hona tadap ka, sab kuch sahan kar jana,
Ghar se nikalna kaam par, aur kaam se loutkar ghar aana,
Sabse khatarnak hota hai,
Hamare sapno ka mar jana.

-Paash